Toggle Location Modal

Hello doctor, Mere bhai ko appendix tha jiska operation dec 2024 me hua tha, lekin kuch samay baad June 2025 me usko Intestine me dikkat ho rahi hai doctor se consent kiya hai hai usko intestine obstruction btaya hai.. kya es hospital me intestine obstruction ka treatment ayushman card se hai ya nhi?

P
Priyanka Priyanka
Posted Under General Surgery, on 16 July 2025

P
Priyanka Priyanka
Posted Under General Surgery, on 16 July 2025
Write Answer...
H
HexaHealth TeamExpert

Dear Priyanka ji,

Appendix operation ke baad intestine mein dikkat hona kabhi-kabhi complications ka hissa ho sakta hai. Intestinal obstruction ek aisi sthiti hai jahan aapke bhai ki aanton mein rukaavat aayi hai, jo kabhi-kabhi emergency treatment ya surgery ka maang karti hai.

Ayushman Bharat scheme ke tahat intestinal obstruction ka treatment covered hai. Aap agar kisi empanelled hospital mein ilaj karate hain to aapko iske liye kharch nahi dena padta. Lekin har hospital is scheme ke tahat registered nahi hota.

Ayushman Bharat mein apne sheher ke empanelled hospitals check karne ke liye ye steps follow karein:

  • Visit karein: https://hospitals.pmjay.gov.in/Search/

  • State aur District select karein

  • Government ya Private hospital choose karein

  • “Search” par click karne ke baad aapko Ayushman Bharat se jude hospitals ki list mil jaayegi

Aap HexaHealth se turant sampark karein. Hum aapke bhai ke ilaj mein poori madad karenge.

Like
Today
Related QuestionsView All

Hi sir I'm madhav Kumar mera sawal ye hi ki gallbladder me stone ka tritment ayushman card se hota h kya

D
Dr. Bhavya GuptaExpert

Pittashay ki thaili me gandagi hai operation ho jayega

D
Dr. Bhavya GuptaExpert

Stone issue in kidney

D
Dr. Bhavya GuptaExpert