Dear Satish Bhagwan Madavi ji,
Biopsy ek diagnostic procedure hota hai jisme sharir ke kisi hissa ka sample lekar uska laboratory mein test kiya jaata hai, taaki kisi serious disease jaise infection, cancer ya any problem ka pata lagaya ja sake.
Ayushman Bharat card ke tahat biopsy ke baad ka treatment covered hota hai, agar diagnosis ke baad aapko kisi surgical ya non-surgical ilaj ki zarurat padti hai. Iska matlab hai ki biopsy ke baad agar koi disease detect hoti hai jiska ilaj hospitalisation se hota hai, to woh Ayushman card se cashless ho sakta hai.
Apne sheher ke empanelled Ayushman Bharat hospitals jaane ke liye:
Visit karein: https://hospitals.pmjay.gov.in/Search/
State mein Maharashtra aur District mein Gadchiroli select karein
Government ya Private hospital choose karein
Search par click karne par aapko list mil jaayegi
HexaHealth aapki madad kar sakta hai:
Eligible hospitals dhoondhne mein
Doctor consultation aur treatment planning mein
Aap chahein toh HexaHealth se turant sampark karke ilaj ki prakriya shuru kar sakte hain. Hum aapke saath hain.