Dear Keshav ji,
Gale mein kharash, bolne mein dikkat aur bar-bar khaansi hona infection ke lakshan ho sakte hain — jaise viral pharyngitis, laryngitis ya kabhi-kabhi tonsilitis bhi. Agar thorat infection zyada dino tak bana rahe ya awaaz par asar daale, toh ENT specialist se consult zaroori hai.
Mumkin Kaaran:
Viral ya bacterial infection
Throat dryness ya allergy
Acid reflux (GERD) bhi throat me jalan aur awaaz par asar daal sakta hai
Overuse of voice ya pollution exposure
Kya Karna Chahiye:
Garam paani se gargle karein (salt water preferable)
Thanda, spicy aur oily khana avoid karein
Hydration maintain rakhein — zyada paani aur herbal tea lein
Agar khaansi ya infection 5 din se zyada rahe, toh throat swab test aur doctor consult karein
HexaHealth Aapki Kaise Madad Karega:
Gurgaon mein ENT specialist ke saath appointment book karega
Zarurat pade toh laryngoscopy ya throat examination arrange karega
Medicine, test aur follow-up ka pura process simplify karega